realme 11 pro ko main din se use karrahahu. 23,99Rs mein best phone hai. realme 11 pro ka design bohot achha hai, black color ke phone mein plastic build quality hai lakin Sunrise Beige or Oasis Green color mein lather finish diya hai. Mereko black color jada pasand hai.

Display

realme 11 pro mein 6.7 inches ka full hd plus curved amoled display diya hai. 120Hz ka high ka refresh rate diya hai. Gamers ko bohot help karega 120Hz. Youtube mein video dekhne ka experience achha hai, 950nits ka brightness hai phone mein. Main khud outdoor mein use kiya hu, mujhe achhi tarike se dikhai diya hai.

Performance

realme 11 pro mein mediatek dimensity 7050 5g processor diya hai. Main kuch time se use karrahahu mujhe tik tak laga. Normal usage mein mujhe lag dikhai diya hai, smooth experence nahi diya hai. Camera app tik tak run nahi hota hai. Game kafi achha chalta hai. Maine PUBG, Call Of Duty, Asphalt 9 khela hu mujhe experience kafi achha mila. PUBG es phone mein smooth and Extreme settings mein khel paoge. HDR Ultra setting mein vi kafi achha bgmi chalta hai, Ager Aaplog jada gaming karna chate ho realme 11 pro achha phone hoga. realme 11 pro mein 5,29,000 Antutu score aya hai. Gaming ke time mein realme 11 pro heat nahi hota hai. Detail gaming review ke liya Suman Techno Extra youtube channel visit karsakte ho.

Battery

realme 11 pro mein 5000mAh ka battery diya hai. Normal usage mein 1 din battery backup deta hai and heavy usage mein 4 hours to 5 hours battery backup deta hai. 67W ka charger diya hai motorola. 0% – 100% full charge hone me time lagta hai 45 minutes. Charging ke time me realme 11 pro heating nahi hota.

Camera

realme 11 pro mein triple back camera diya hai. 100MP primary sensor diya hai jo ki f/1.8 aperture mein run karta hai. 2MP ka macro sensor diya hai. Back camera se 1080@60fps and 4k@30fps mein video recording hota hai.

16MP ka selfie camera diya hai jo ki f/2.5 aperture mein run karta hai. selfie camera se 1080@30fps mein video recording hota hai.

Maine bohot sare picture click kiya hu realme 11 pro se, sare picture ko original quality mein dekhsakte ho niche google drive mein click karke.

realme 11 pro plus picture

Features

realme 11 pro realme ui 4.0 mein run karta hai. realme 11 pro mein realme ui 4.0 ke wajase bohot sare amezing features milta hai. Ager aapko realme 11 pro ka 50+ features ke bareme janna ho suman features youtube channel visit karsakteho. Under display fingerprint sensor milta hai. accelerometer, gyro, proximity, compass bohot sare sensor milta hai. realme 11 pro mein dual spaker milta hai, spaker ka quality achha hai.

Ram & Rom

realme 11 pro mein 8GB and 128GB storage milta hai. 8GB ram plus ka option diya hai. maine realme 11 pro ka ram managemet test kiya tha, eska ram managemant achha hai. 90% app reload nahi karta hai.

23,999Rs mein realme 11 pro kafi achha smartphone hai. aaplog buy karsakte ho.