vivo y36 ko main 10 din se use karrahahu. 16,999Rs mein tiktak phone hai. vivo y36 ka design bohot achha hai, ak najar mein bohot sare log es phone ko pasand karega. Jadatar log design dekhkar phone kharidega.
Display
vivo y36 mein 6.64 inches ka fhd plus ips display diya hai. 90Hz Refresh rate diya hai. Youtube mein video dekhne ka experience tiktak hai, 650nits ka brightness hai phone mein. Main khud outdoor mein use kiya hu, mujhe thoda kam britness laga hai. Dhup mein use karoge to dekhne mein problem hoga.
Performance
vivo y36 mein qualcomm snapdragon 680 4g processor diya hai. Eska antutu score 289000 aya hai. Main kuch time se use karrahahu mujhe tik tak laga. Normal usage mein mujhe lag dikhai nahi diya hai, A phone gaming phone nahi hai. Game es phone mein khel nahi paoge.
Battery
vivo y36 mein 5000mAh ka battery diya hai. Normal usage mein 2 din battery backup deta hai and heavy usage mein 10 hours to 12 hours battery backup deta hai. 44W ka charger diya hai vivo. 0% – 100% full charge hone me time lagta hai 1 hours. Charging ke time me vivo y36 heating nahi hota.
Camera
vivo y36 mein dual back camera diya hai. 50MP primary sensor diya hai jo ki f/2.0 aperture mein run karta hai. 2MP ka 2nd sensor Back camera se 1080@30fps mein video recording hota hai.
16MP ka selfie camera diya hai jo ki f/2.2 aperture mein run karta hai. selfie camera se 1080@30fps mein video recording hota hai.
Maine bohot sare picture click kiya hu vivo y36 se, sare picture ko original quality mein dekhsakte ho niche google drive mein click karke.
Features
vivo y36 funtouch os 13 mein run karta hai. vivo y36 mein funtouch os 13 ke wajase bohot sare amezing features milta hai. Ager aapko vivo y36 ka 50+ features ke bareme janna ho suman features youtube channel visit karsakteho. Fingerprint sensor nahi milta hai. accelerometer, gyro, proximity, compass bohot sare sensor milta hai. vivo y36 mein single spaker milta hai, spaker ka quality achha hai.
Ram & Rom
vivo y36 mein 8GB and 128GB storage milta hai. 8GB ram plus ka option diya hai. maine vivo y36 ka ram managemet test kiya tha, eska ram managemant achha hai. 90% app reload nahi karta hai.
16,999Rs mein vivo y36 bekar smartphone hai. aaplog buy mat karna.