infinix note 30 5g ko main 10 din se use karrahahu. 14,999Rs mein best phone hai. infinix note 30 5g ka design bohot achha hai, mere pas black color hai, sare color  kafi achha hai. Thoda mota phone hai. Back side mein thoda mat finis hai and side mein glossy panel diya hai.

Display

infinix note 30 5g mein 6.78 inches ka full hd plus ips lcd display diya hai. 120Hz ka high ka refresh rate diya hai. Gamers ko bohot help karega 120Hz. Youtube mein video dekhne ka experience achha hai, 580nits ka brightness hai phone mein. Main khud outdoor mein use kiya hu, mujhe thoda kam brightness hai.

Performance

infinix note 30 5g mein mediatek dimensity 6080 5g processor diya hai. Main kuch time se use karrahahu mujhe tik tak laga. Normal usage mein mujhe lag dikhai diya hai, smooth experence nahi diya hai. Game kafi achha chalta hai. Maine PUBG, Call Of Duty, Asphalt 9 khela hu mujhe experience kafi achha mila. PUBG es phone mein smooth and ultra settings mein khel paoge. HD High setting mein bgmi lag karta hai, Ager Aaplog jada gaming karna chate ho infinix note 30 5g achha phone nahi hoga. infinix note 30 5g mein 3,91,000 Antutu score aya hai. Gaming ke time mein infinix note 30 5g heat nahi hota hai. Detail gaming review ke liya Suman Techno Extra youtube channel visit karsakte ho.

Battery

infinix note 30 5g mein 5000mAh ka battery diya hai. Normal usage mein 1 din battery backup deta hai and heavy usage mein 8 hours to 5 hours battery backup deta hai. 45W ka charger diya hai motorola. 0% – 100% full charge hone me time lagta hai 60 minutes. Charging ke time me infinix note 30 5g heating nahi hota.

Camera

infinix note 30 5g mein triple back camera diya hai. 108MP primary sensor diya hai jo ki f/1.8 aperture mein run karta hai. 2MP ka macro sensor diya hai. 2MP AI sensor Back camera se 1080@60fps and 2k@30fps mein video recording hota hai.

16MP ka selfie camera diya hai jo ki f/2.5 aperture mein run karta hai. selfie camera se 1080@30fps mein video recording hota hai.

Maine bohot sare picture click kiya hu infinix note 30 5g se, sare picture ko original quality mein dekhsakte ho niche google drive mein click karke.

itel s23

Features

infinix note 30 5g xos mein run karta hai. infinix note 30 5g mein xos ke wajase bohot sare amezing features milta hai. Ager aapko infinix note 30 5g ka 50+ features ke bareme janna ho suman features youtube channel visit karsakteho. Under display fingerprint sensor milta hai. accelerometer, gyro, proximity, compass bohot sare sensor milta hai. infinix note 30 5g mein dual spaker milta hai, spaker ka quality achha hai.

Ram & Rom

infinix note 30 5g mein 8GB and 256GB storage milta hai. 8GB ram plus ka option diya hai. maine infinix note 30 5g ka ram managemet test kiya tha, eska ram managemant achha hai. 90% app reload nahi karta hai.

14,999Rs mein infinix note 30 5g kafi achha smartphone hai. aaplog buy karsakte ho.