Realme 11 pro plus ko main din se use karrahahu. 27,999Rs mein best phone hai. Realme 11 pro plus ka design bohot achha hai, black color ke phone mein plastic build quality hai lakin Sunrise Beige or Oasis Green color mein lather finish diya hai. Mereko black color jada pasand hai.
Display
Realme 11 pro plus mein 6.7 inches ka full hd plus curved amoled display diya hai. 120Hz ka high ka refresh rate diya hai. Gamers ko bohot help karega 120Hz. Youtube mein video dekhne ka experience achha hai, 950nits ka brightness hai phone mein. Main khud outdoor mein use kiya hu, mujhe achhi tarike se dikhai diya hai.
Performance
Realme 11 pro plus mein mediatek dimensity 7050 5g processor diya hai. Main kuch time se use karrahahu mujhe kafi achha laga. Normal usage mein mujhe lag dikhai nahi diya, smooth experence diya hai. Game kafi achha chalta hai. Maine PUBG, Call Of Duty, Asphalt 9 khela hu mujhe experience kafi achha mila. PUBG es phone mein smooth and Extreme settings mein khel paoge. HDR Ultra setting mein vi kafi achha bgmi chalta hai, Ager Aaplog jada gaming karna chate ho Realme 11 pro plus achha phone hoga. Realme 11 pro plus mein 4,65,000 Antutu score aya hai. Gaming ke time mein Realme 11 pro plus Heat nahi hota hai. Detail gaming review ke liya Suman Techno Extra youtube channel visit karsakte ho.
Battery
Realme 11 pro plus mein 5000mAh ka battery diya hai. Normal usage mein 1 din battery backup deta hai and heavy usage mein 4 hours to 5 hours battery backup deta hai. 100W ka charger diya hai motorola. 0% – 100% full charge hone me time lagta hai 0.5 hours. Charging ke time me Realme 11 pro plus Heating nahi hota.
Camera
Realme 11 pro plus mein triple back camera diya hai. 200MP primary sensor diya hai jo ki f/1.7 aperture mein run karta hai. 8MP ultra wide secondary sensor diya hai jo ki f/2.4 mein run karta hai or 2MP ka macro sensor diya hai. Back camera se 1080@60fps and 4k@30fps mein video recording hota hai.
32MP ka selfie camera diya hai jo ki f/2.0 aperture mein run karta hai. selfie camera se 1080@30fps mein video recording hota hai.
Maine bohot sare picture click kiya hu Realme 11 pro plus se, sare picture ko original quality mein dekhsakte ho niche google drive mein click karke.
Features
Realme 11 pro plus realme ui 4.0 mein run karta hai. Realme 11 pro plus mein realme ui 4.0 ke wajase bohot sare amezing features milta hai. Ager aapko Realme 11 pro plus ka 50+ features ke bareme janna ho suman features youtube channel visit karsakteho. Under display fingerprint sensor milta hai. accelerometer, gyro, proximity, compass bohot sare sensor milta hai. Realme 11 pro plus mein dual spaker milta hai, spaker ka quality achha hai.
Ram & Rom
Realme 11 pro plus mein 8GB and 256GB storage milta hai. 8GB ram plus ka option diya hai. maine Realme 11 pro plus ka ram managemet test kiya tha, eska ram managemant achha hai. 90% app reload nahi karta hai.
27,999Rs mein Realme 11 pro plus kafi achha smartphone hai. aaplog buy karsakte ho.